jo kahte haiñ kidhar dīvāngī hai
unhīñ kī ham-safar dīvāngī hai
tavakkul be-niyāzī saath hoñ to
ġham-e-dīvār-o-dar dīvāngī hai
sisakte ḳhvāb āñkhoñ meñ basā kar
sitāroñ par nazar dīvāngī hai
kamāl-e-ādmī āgāhī-e-kal
ma.āl-e-dīda-var dīvāngī hai
duā.eñ bā.is-e-taskīñ haiñ lekin
tamannā-e-asar dīvāngī hai
havā.eñ tiir kī mānind hoñ jab
yaqīn-e-bāl-o-par dīvāngī hai
ye shahr-e-tājirān-e-dād-e-dil hai
talāsh-e-chāragar dīvāngī hai