Abid Akhtar

apni kami se puchh na uski kami se puchh

Abid Akhtar

Delhi, India

1939-1995
apnī kamī se pūchh na us kī kamī se pūchh
ismat kā bhaav jism kī bechārgī se pūchh
ġhāroñ meñ rahne vāloñ kī shā.istagī kā qad
saḌkoñ pe raqs kartī huī āgahī se pūchh
mujh meñ ye intishār ye nafrat hai kis liye
guzre hue samāj kī dīvāngī se pūchh
Daalī se chhūT jaane kā anjām kyā huā
barg-e-ḳhizāñ-rasīda kī āvārgī se pūchh
ashkoñ meñ iltijāoñ meñ tāqat nahīñ hai kyuuñ
zehnoñ pe raaj kartī huī be-hisī se pūchh
khulne ke intizār meñ jo zard ho ga.ī
rañg-e-sulūk bād-e-sabā us kalī se pūchh
bandoñ ke silsile meñ bahut tū ne kah liyā
allāh apne baare meñ kuchh aadmī se pūchh
Top Urdushayar.com