Mubeen Mirza

sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae

Mubeen Mirza

sāthiyo jo ahd bāñdhā hai use toḌā na jaa.e
jism meñ jab tak lahū se ma.arka haarā na jaa.e
ahd-e-māzī meñ bhī hai koh-e-nidā jaisā tilism
ye bhī vo āvāz hai muḌ kar jise dekhā na jaa.e
is qadar raas aa ga.ī haiñ zaat kī vīrāniyāñ
ḳhud ye ḳhvāhish ho rahī hai dil kā sannāTā na jaa.e
is se aage vāpsī kā rāsta koī nahīñ
jo yahāñ se lauTnā chāhe use rokā na jaa.e
jis se dil vābasta ho be-intihā shiddat ke saath
bhuul kar bhī us ta.alluq ko kabhī parkhā na jaa.e
yaad us kī phir kahīñ barsoñ na aa.e us ke ba.ad
itnā jī bhar ke bhī aaj us ke liye royā na jaa.e
mere dukh sukh mere andar zinda haiñ sab kī tarah
shahar ke logoñ se mujh ko muḳhtalif samjhā na jaa.e
Top Urdushayar.com