kabhī ḳhudā kabhī ḳhud se savāl karte hue
maiñ jī rahā huuñ musalsal malāl karte hue
magan thā kār-e-mohabbat meñ is tarah ki mujhe
ḳhabar na ho sakī apnā ye haal karte hue
kise batā.ūñ guzārā hai maiñ ne bhī ik daur
misāl hote hue aur misāl karte hue
vo jazb-o-shauq hī āḳhir azāb-e-jāñ Thahrā
harām ho gayā jiinā halāl karte hue
na koī rañj un āñkhoñ meñ thā dam-e-ruḳhsat
na thī zabān meñ luknat savāl karte hue
ye kaam us ke liye jaise mas.ala hī na thā
vo pur-sukūn thā kār-e-muhāl karte hue
tamām umr jo lau deñ mujhe rakheñ ābād
gayā vo aise ġhamoñ se nihāl karte hue