Mubeen Mirza

chale jaenge sab asbab hairani na jaegi

Mubeen Mirza

chale jā.eñge sab asbāb hairānī na jā.egī
kisī sūrat dil-o-jāñ kī ye arzānī na jā.egī
so ab tai hai na jā.eñgī ye dil kī vahshateñ jab tak
ragoñ meñ is umaDte ḳhuuñ kī tuġhyānī na jā.egī
sabab ye hai ki pahle ho chukā hai faisla so ab
gavāhī dī to jā.egī magar maanī na jā.egī
tujhe us dar se lenā thā nayā rañj-o-alam har pal
dil-e-vahshat-asar terī tan-āsānī na jā.egī
khulā ye ḳhuun kī vahshat hai so maiñ mar to saktā huuñ
mire andar se lekin ḳhū-e-sultānī na jā.egī
mayassar ā.eñgī har pal bahut āsā.isheñ lekin
mujhe ma.alūm hai ab dil kī vīrānī na jā.egī
Top Urdushayar.com