Mubeen Mirza

qarine zist mein the soKHta-jaani se pahle

Mubeen Mirza

qarīne ziist meñ the soḳhta-jānī se pahle
bahut ābād the ham ḳhāna-vīrānī se pahle
badalte mausamoñ ke saath ġham bhī aa.e lekin
ġhamoñ kī shaan alag thī is farāvānī se pahle
inhī ḳhush-zauq logoñ meñ bahut charche rahe haiñ
hamārī ḳhush-libāsī ke bhī uryānī se pahle
jo yār-e-mehrbāñ nālāñ hai ab merī talab se
use shikva thā merī tañg-dāmānī se pahle
baḌā zīrak bahut daanā tujhe ham jānte the
dil-e-nādāñ tirī is hashr-sāmānī se pahle
ye parda hai kisī shai kā vagarna ham ne yaaro
baḌe tūfāñ uThā.e haiñ tan-āsānī se pahle
yahāñ ik baaġh thā jis meñ chahakte the parinde
yahīñ is qarya-e-jāñ kī bayābānī se pahle
ye mahjūbī ye ḳhāmoshī hamesha se nahīñ hai
lab-e-goyā the ham bhī apnī hairānī se pahle
Top Urdushayar.com