Mubeen Mirza

zamin bichha ke alag aasman banaun koi

Mubeen Mirza

zamīñ bichhā ke alag āsmāñ banā.ūñ koī
zamāñ makāñ se pare ab jahāñ banā.ūñ koī
tamām umr chale mere saath tanhā.ī
ġharaz hī kyā hai mujhe kārvāñ banā.ūñ koī
kisī ḳhushī ko nahīñ hai agar sabāt yahāñ
maiñ sochtā huuñ ki ġham jāvedāñ banā.ūñ koī
ye dasht-e-dil ki jahāñ ret uḌtī hai shab o roz
tire liye yahīñ mauj-e-ravāñ banā.ūñ koī
jo aisī vahshat-e-jāñ hai sar-e-yaqīn-o-sabāt
so kyuuñ na vahm tarāshūñ gumāñ banā.ūñ koī
Thaharnā kab hai mujhe reg-zār-e-duniyā meñ
so kyā paḌī hai yahāñ āstāñ banā.ūñ koī
Top Urdushayar.com