Mubeen Mirza

din raat ke dekhe hue manzar se alag hai

Mubeen Mirza

din raat ke dekhe hue manzar se alag hai
ye lamha to maujūd o mayassar se alag hai
maujeñ ki bagūle hoñ mire dil kā har ik rañg
sahrā hai judā aur samundar se alag hai
vo shai ki lage jis se mirī ruuh pe ye zaḳhm
vāqif hī nahīñ tū tire ḳhanjar se alag hai
poshīda nahīñ mujh se ye duniyā kī haqīqat
bāhar se mire saath hai andar se alag hai
ik rañg barastā hī rahā mujh pe agarche
ma.alūm thā vo mere muqaddar se alag hai
tujh ko nahīñ ma.alūm hue jis pe fidā ham
hai aur hī kuchh jo tire paikar se alag hai
us chashm-e-karam ne mujhe baḳhshā jo ḳhazīna
an-mol hai vo aur zar-o-gauhar se alag hai
us shaḳhs kī ulfat ne phir ik roz batāyā
qismat mirī dārā-o-sikandar se alag hai
Top Urdushayar.com