Mubeen Mirza

ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana ho gae hain

Mubeen Mirza

ġhubār-e-rāh-e-tilism-e-zamāna ho ga.e haiñ
ham aaise log bhī āḳhir fasāna ho ga.e haiñ
rahe haiñ raunaq-e-sad-āstāñ vo log ki aaj
ye chand tinke jinheñ āshiyāna ho ga.e haiñ
jo misl-e-abr-e-bahārāñ haiñ dūsroñ ke liye
vo log apne liye tāziyāna ho ga.e haiñ
jahāñ pe aa.e the ik roz tumtarāq ke saath
ba-hasrat aaj vahāñ se ravāna ho ga.e haiñ
to kyā huī vo tamannā kī daulat-e-bedār
ki saare shauq hī rasm-e-shabāna ho ga.e haiñ
vo log jin kā talabgār ik zamāna thā
kisī kī sāda-dilī kā nishāna ho ga.e haiñ
kisī kī chashm-e-taġhayyur ko jin se nisbat hai
maiñ ḳhush huā ki vo ġham jāvedāna ho ga.e haiñ
ab is qadar nahīñ ḳhālī hamārā dāman bhī
gunāh ham se bhī kuchh fāḳhirāna ho ga.e haiñ
vo aur shai hai ki jis ne ghulā diyā mujh ko
ki ye avāriz-e-jāñ to bahāna ho ga.e haiñ
Top Urdushayar.com