ye mohabbat hai ise garmī-e-bāzār na kar
laakh vahshat sahī aisā to mire yaar na kar
aaj ye soch ki kal kaise sambhālegā ise
be-sabab dil meñ gumānoñ kā ye ambār na kar
ziist har aan taġhayyur kā nishāñ hai lekin
yaar kal tak jo rahe aaj unheñ aġhyār na kar
in badalte hue rañgoñ ke tamāshe pe na jā
ye jo duniyā hai to apnā ise me.aar na kar
mas.ala hal bhī to ho saktā hai kuchh soch ke dekh
yuuñ bigaḌ kar mirī har baat se inkār na kar
maiñ tujhe rok nahīñ saktā magar jaate hue
ye jo imkān kā dar hai ise dīvār na kar
dostī ḳhatm huī saaf batā de mujh ko
kam se kam yuuñ kisī dushman kī tarah vaar na kar