kuchh dard jagā.e rakhte haiñ kuchh ḳhvāb sajā.e rakhte haiñ
is dil ke sahāre jīvan meñ ham baat banā.e rakhte haiñ
aise bhī marāhil aate haiñ is manzil-e-ishq kī rāhoñ meñ
jab ashk bahāte haiñ ḳhud bhī us ko bhī rulā.e rakhte haiñ
kyā us se kaheñ aur kaise kaheñ un rañg badaltī āñkhoñ se
kyā shauq umaDte haiñ dil meñ kyā vahm satā.e rakhte haiñ
ik baat pe aa kar aaj hameñ iqrār ye us se karnā paḌā
kab yaad nahīñ karte us ko kab us ko bhulā.e rakhte haiñ
sad-rañg nazāre the jis meñ vo dil kā chaman kyā tum se kaheñ
kyuuñ us ko ujaaḌ ke baiThe haiñ kyuuñ ḳhaak uḌaa.e rakhte haiñ
muhtāj nahīñ hai kisht-e-jāñ mausam ke badalte dhāroñ kī
kuchh daaġh to dil meñ be-mausam sau phuul khilā.e rakhte haiñ
āshiq bhī nahīñ sādhū bhī nahīñ phir raaz hai kyā ye 'mirzā'-jī
kis aañch se dahkā hai siina kyā aag jalā.e rakhte haiñ