tirā ġham dil pe ifshā kar rahe haiñ
so dil se kār-e-duniyā kar rahe haiñ
tujhe ab kyā batā.eñ ham tire ba.ad
ba-nām-e-zīst kyā kyā kar rahe haiñ
hazāroñ rañj pai-dar-pai uThā kar
bas ik ġham kā mudāvā kar rahe haiñ
kuchh aisā hai ġham-e-tanhā.ī dar-pesh
ki ik aalam ko apnā kar rahe haiñ
kabhī jo kaam chāhat se kiye the
unhīñ kā aaj sadma kar rahe haiñ
ye zaḳhm-e-dil salāmat ham isī ko
muqaddar kā sitāra kar rahe haiñ
kisī sūrat jo puurī ho na paa.e
ham ik aisī tamannā kar rahe haiñ
jo karnā chāhte the bil-irāda
vo sab kuchh be-irāda kar rahe haiñ
unhī logoñ ko hai duniyā mayassar
ki jo us se kināra kar rahe haiñ
vahī karne kī hasrat jāñ-gusil hai
ki jo karne kā charchā kar rahe haiñ