ḳhushī se ziist kā har dukh uThā.e jaate haiñ
ham ahl-e-dil kī rivāyat nibhā.e jaate haiñ
junūñ kī raah meñ bujh bujh ke ab bhī dīvāne
charāġh shola-e-jāñ se jalā.e jaate haiñ
vo fard-e-jurm hī ai munsifo nahīñ merī
mujhe ye faisle jis par sunā.e jaate haiñ
ta.alluqāt meñ do tarfa sard-mehrī hai
bas ek vaz.a ko donoñ nibhā.e jaate haiñ
ḳhushī to DhūñDe bhī is daur meñ nahīñ miltī
ye kaun log haiñ jo muskurā.e jaate haiñ