Mubeen Mirza

ek KHwab ko aankhen rehn rakhen ek shauq mein dil viran kiya

Mubeen Mirza

ik ḳhvāb ko āñkheñ rehn rakheñ ik shauq meñ dil vīrān kiyā
jiine kī tamannā meñ ham ne marne kā sabhī sāmān kiyā
ham ḳhaak uḌāte phirte haiñ is dasht-e-talab meñ phir ik din
iqlīm-e-junūñ us ne baḳhshī aur dil kā hameñ sultān kiyā
kyā kahiye karishma-sāz the kyā āġhāz-e-mohabbat ke vo din
jab ḳhud se bhī ham hairān hue us ne bhī bahut hairān kiyā
ab hijr kā mausam aa pahuñchā ham jaan ga.e the jab dil meñ
ik dard ne Derā Daal liyā ik dukh ne bayāñ imkān kiyā
ik umr se chup thā dil dariyā ik roz magar phir umaD paḌā
tan man sab jis meñ Duub ga.e har mauj ne vo tūfān kiyā
Top Urdushayar.com