yahī to dukh hai zamīñ āsmāñ banā kar bhī
maiñ dar-ba-dar huuñ ḳhud apnā jahāñ banā kar bhī
agar ye sach hai ki har shai yahāñ pe faanī hai
to kyā karūñgā maiñ kuchh jāvedāñ banā kar bhī
musir hai is pe mujhe rā.egāñ nahīñ honā
vo zindagī ko marī rā.egāñ banā kar bhī
kise dikhā.ūñ jo tārīkiyāñ sameTī haiñ
qadam qadam pe na.ī kahkashāñ banā kar bhī
kuchh aur log magar ba.ad-azāñ use yaad aa.e
vo ḳhush nahīñ thā hameñ dāstāñ banā kar bhī
khulā masāfat-e-hastī meñ kam nahīñ hote
safar ke rañj-o-alam kārvāñ banā kar bhī