Nadeem Gullani

apni uljhan ko baDhane ki zarurat kya hai

Nadeem Gullani

Sindh, Pakistan

1982
apnī uljhan ko baḌhāne kī zarūrat kyā hai
chhoḌnā hai to bahāne kī zarūrat kyā hai
lag chukī aag to lāzim hai dhuāñ uTThegā
dard ko dil meñ chhupāne kī zarūrat kyā hai
umr bhar rahnā hai ta.abīr se gar duur tumheñ
phir mire ḳhvāb meñ aane kī zarūrat kyā hai
ajnabī rañg chhalaktā ho agar āñkhoñ se
un se phir haath milāne kī zarūrat kyā hai
aaj baiThe haiñ tire paas ka.ī dost na.e
ab tujhe dost purāne kī zarūrat kyā hai
saath rahte ho magar saath nahīñ rahte ho
aise rishte ko nibhāne kī zarūrat kyā hai
Top Urdushayar.com