Nadeem Gullani

teri qurbaten hain sakun jaan-e-jaanan

Nadeem Gullani

Sindh, Pakistan

1982
tirī qurbateñ haiñ sakūñ jān-e-jānāñ
vagarna mohabbat junūñ jān-e-jānāñ
jo sochūñ maiñ hālāt apne vatan ke
ragoñ meñ se ristā hai ḳhuuñ jān-e-jānāñ
abhī tak ghanerī sī chādar meñ huuñ maiñ
kisī zulf kā hai fusūñ jān-e-jānāñ
fasāne mohabbat ke zinda raheñge
maiñ likkhūñ na chāhe likhūñ jān-e-jānāñ
tumhārī mohabbat kā ab bhī qasam se
mire chaar sū hai fusūñ jān-e-jānāñ
ḳharīdār tū ho to ḳhvāhish hai merī
ki yūsuf ke tarah bikūñ jān-e-jānāñ
zamāna to kahtā hai kahtā rahegā
ye yuuñ hai ye yuuñ hai ye yuuñ jān-e-jānāñ
Top Urdushayar.com