tumheñ hamārī mohabbatoñ ke hasīn jazbe bulā rahe haiñ
jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naġhme bulā rahe haiñ
vahāñ tumhāre bhī bachpanoñ kī hasīn yādeñ haiñ dafn yaaro
ḳhudā gavāh hai vatan meñ tum ko tumhāre qasbe bulā rahe haiñ
jo haq ġharīboñ kā khā rahe ho to yaad rakhnā ai hukmarāno
kahīñ pe tum ko bhī zulmatoñ ke sulagte raqbe bulā rahe haiñ
hamāre lahje kī larzishoñ se samajh sako to samajh bhī jaao
tumhāre ġham se lage jo dil pe vo saare tamġhe bulā rahe haiñ
yaqīn jaano tumhāre jaane ke ba.ad koī rachā na maz.hab
tumhārī tasbīh tumhāre sajde tumhāre kalme bulā rahe haiñ
'nadīm' dānishvaroñ kī mahfil kabhī na kuchh bhī atā karegī
chalo ki ''jānī-pura'' jahāñ pe vo yaar kamle bulā rahe haiñ