Nadeem Gullani

tumhaari mahfil se ja raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna

Nadeem Gullani

Sindh, Pakistan

1982
tumhārī mahfil se jā rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
ai mere yaaro lo maiñ chalā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mohabbatoñ kā maiñ rāsta huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
jo tum na dekho maiñ dekhtā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
rah-e-vafā meñ fanā huā par kisī ke aage jhukā nahīñ jo
vafāoñ kā maiñ vo qāfila huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mujhe yaqīñ hai ye mere hote zamāna saarā tyaag deñge
maiñ apne yāroñ kā hausla huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
na manziloñ kī ḳhabar hai mujh ko na rāstoñ kā patā hai phir bhī
maiñ apne ghar se to chal paḌā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
maiñ thak ke saa.e meñ jab huuñ baiThā to saare saa.e lage haiñ chalne
maiñ bad-nasībī kī intihā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mujhe ḳhudā ne basāratoñ kī hadoñ se zyāda basārteñ diiñ
maiñ band āñkhoñ se dekhtā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
ġhamoñ meñ mere ḳhushī chhupī hai ḳhushī meñ merī chhupe hue ġham
ajab laḌā.ī maiñ laḌ rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mohabbatoñ ke sarāb jhele rafāqatoñ ke azaab jhele
kisī kī yādoñ meñ ro rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
nahīñ hai jis kā hal ab to koī 'nadīm' bas ik sivā tumhāre
maiñ ek aisā hī mas.ala huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
'nadīm' chāhat ye kam na hogī ḳhudā karegā ki phir mileñge
ye jaate jaate maiñ kah rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
Top Urdushayar.com