Kishwar Naheed

kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
kabhī to aa mirī āñkhoñ kī raushnī ban kar
zamīn-e-ḳhushk ko sairāb kar namī ban kar
rachā huā hai tirī kam-nigāhiyoñ kā karam
nashe kī tarah mire dil meñ sarḳhushī ban kar
kabhī to aa tapish-e-jāñ-gusal hī dene ko
kabhī guzar inhī rāhoñ se ajnabī ban kar
ḳhushā ki aur milā ġham kā tāziyāna hameñ
ḳhushā vo dard jo chhāyā hai naġhmagī ban kar
tumheñ aziiz nahīñ hai to ho aziiz kise
na mil sakegā koī vajh-e-zindagī ban kar
palaT ke dekh na us ko vo ḳhaak kar degā
tire ġhurūr ko zahrāb kī anī ban kar
huī na us se vafā tum se kyā huā 'nāhīd'
abhī talak jiye jaatī ho bāolī ban kar
Top Urdushayar.com