Sanjiv Arya

tumhaari yaad ko humne palak par yun saja rakkha

Sanjiv Arya

tumhārī yaad ko ham ne palak par yuuñ sajā rakkhā
añdherī raat meñ har roz āñgan meñ diyā rakkhā
laboñ se guftugū hotī to kuchh shikva na ho paatā
nazar se jab sunā us ko tabassum se gilā rakkhā
gayā pardes beTā jab bhī le kar ḳhvāb sab apne
to phir din-rāt maañ ne apnī āñkhoñ ko khulā rakkhā
divālī iid meñ aksar khilaune bechtā hai ab
ye vo bachcha hai jis ne apnī ḳhvāhish ko dabā rakkhā
vahāñ ik chāñd sī laḌkī bhī rahtī hai ye jaanā tab
darīche kī hayā ko jab dupaTTe se uḌā rakkhā
ye raushan-dān se ma.asūm sī titlī chipaktī hai
isī aahaT ko ham ne apnī ġhazloñ kī sadā rakkhā
ye dahshat-gard saḌkeñ haiñ mujhe kab qatl kar Dāleñ
kisī kāġhaz ke purze meñ maiñ apnā bhī patā rakkhā
kahīñ dillī kī saḌkoñ par bhalā insāf miltā hai
magarmachchhoñ ke aañsū ko siyāsat ne bahā rakkhā
Top Urdushayar.com