karnī nahīñ hai duniyā meñ ik dushmanī mujhe
kahte haiñ saare log kabhī aadmī mujhe
jaatī hai gar to jaa.eñ ye duniyā kī daulateñ
bas raam aa.ī hai to faqat sādgī mujhe
nazreñ jhukā.e baiThe rahe vo bhī sharm se
rātoñ ko phir satātī rahī an-kahī mujhe
saare charāġh chhoḌ ke manzil pe baḌh chalā
rasta dikhā rahī hai abhī tīrgī mujhe
zinda bachā to maut ko jaanā qarīb se
kyā kyā hunar sikhā.e merī zindagī mujhe
marne chalā to mai-kada rāste meñ mil gayā
marne se phir bachātī rahī mai-kashī mujhe
ġhairoñ ko chaah kar ke bhī apnā nahīñ kiyā
apnoñ se hī milī thī ye begānagī mujhe