mirī mohabbat bhī nīlgūñ hai
maiñ us ko dūñgī gulāb niilā
chamakte aariz ghaTā se gesū
haTā diyā hai naqāb niilā
falak se aage palak se aage
nazar meñ rakkhā shahāb niilā
hai naġhma āhañg-e-zindagī bhī
hai sāz-e-mauj-e-rabāb niilā
hare samundar ke paas jā.ūñ
to vo bhī nikle sarāb niilā
jo laal lafzoñ se ḳhat likhā thā
mujhe milā hai javāb niilā
haiñ zaḳhm saare hī niile niile
hai ye mohabbat azaab niilā
rafāqatoñ ke safar se bojhal
maiñ likh rahī huuñ nisāb niilā