tum us se duurī bhī mat ḳhvāh-maḳhvāh meñ rakhnā
bas ehtiyāt sī ik rasm-o-rāh meñ rakhnā
tum apne rañg nahāo tum apnī mauj uḌo
magar hamārī vafā bhī nigāh meñ rakhnā
qubūl gar na kare vo to kyā hameñ sar-e-shām
gulāb mahfil-e-zill-e-ilāh meñ rakhnā
jo raas aa.ī use masnad-e-shahī to suno
shikasta chūḌiyāñ ab razm-gāh meñ rakhnā
baḌā azaab hai mahmūda-'ġhāziya' hijrat
mire ḳhudā mujhe apnī panāh meñ rakhnā