har saañs ko mahkā.iye ab der na kiije
ik phuul sā khil jā.iye ab der na kiije
ik jaam mohabbat se masarrat se bharā jaam
chhalkā.iye chhalkā.iye ab der na kiije
sach kahtā huuñ ik umr se pyāsī hai ye mahfil
paimāna-ba-kaf aa.iye ab der na kiije
sāvan kī ghaTā ban ke sulagtī huī rut meñ
duniyā pe baras jā.iye ab der na kiije
zanjīr meñ jakḌe hue dīvānoñ ko apne
suulī se utarvā.iye ab der na kiije
sannāTā har ik ruuh ko ab Dasne lagā hai
ik giit koī gā.iye ab der na kiije
is ahd-e-sharar-bār pe phir amn kī shabnam
barsā.iye barsā.iye ab der na kiije
talvāroñ ne chamkāyā hai maqtal kī zamīñ ko
talvāroñ ko dafnā.iye ab der na kiije
ik aur hasīñ ḳhvāb ki miT jaa.e shab-e-ġham
'daurāñ' ko bhī dikhlā.iye ab der na kiije