raunaq-e-kūcha-o-bāzār haiñ terī āñkheñ
log saudā haiñ ḳharīdār haiñ terī āñkheñ
kyā yūñhī jāzib-o-dildār haiñ terī āñkheñ
ḳhāliq-e-husn kā shahkār haiñ terī āñkheñ
ye na hotīñ to kisī dil meñ na tūfāñ uThtā
shauq-añgez o fusūñ-kār haiñ terī āñkheñ
terī ma.asūmiyat-e-dil kā pata detī haiñ
terī mahbūbī kā iqrār haiñ terī āñkheñ
jām-o-mīnā kī tarah ḳhud hī chhalak jaatī haiñ
kitnī maḳhmūr haiñ sarshār haiñ terī āñkheñ
un kī taqdīs pe ho azmat-e-maryam bhī nisār
kaun kahtā hai gunahgār haiñ terī āñkheñ
palkeñ bojhal haiñ madhur niiñd ke maare lekin
jaane kyā baat hai bedār haiñ terī āñkheñ
jaise sāvan kī ghaTā TuuT ke barse ai dost
aaj kuchh aise guhar-bār haiñ terī āñkheñ
mere mahbūb-e-dil-āvez batā de itnā
mujh se kis shai kī talabgār haiñ terī āñkheñ
hasrateñ dil meñ liye Duub rahā hai 'daurāñ'
mauj-dar-mauj haiñ mañjdhār haiñ terī āñkheñ