tārīkī meñ diip jalā.e insāñ kitnā pyārā hai
rāheñ DhūñDe manzil paa.e insāñ kitnā pyārā hai
vaqt-e-musībat aañsū poñchhe hamdardī kī baat kare
TuuTe dil ko aas dilā.e insāñ kitnā pyārā hai
māñge sau sau tarah muāfī chhoTī sī ik bhuul kī bhī
apnī ḳhatāoñ par sharmā.e insāñ kitnā pyārā hai
dil kī dhaḌkan dil meñ samo.e giit kī lai ījād kare
mahfil mahfil saaz bajā.e insāñ kitnā pyārā hai
lailā-e-ḳhud-āgāh kī dhun meñ dāman phāḌe qais bane
sahrā sahrā ḳhaak uḌaa.e insāñ kitnā pyārā hai
le ke harīm-e-nāz us ke shīrīñ shīrīñ naġhmoñ ko
'daurāñ' kī tauqīr baḌhā.e insāñ kitnā pyārā hai