Owais Ahmad Dauran

chup rahoge to zamana is se bad-tar aaega

Owais Ahmad Dauran

1938
chup rahoge to zamāna is se bad-tar aa.egā
aane vaalā din liye hāthoñ meñ ḳhanjar aa.egā
vo lahū pī kar baḌe andāz se kahtā hai ye
ġham kā har tūfān us ke ghar ke bāhar aa.egā
kyā tamāshā hai Dare sahme hue haiñ saare log
kyā mirī bastī meñ koī zālim afsar aa.egā
lauT kar pīchhe kabhī jaatī nahīñ raftār-e-vaqt
zindagī ko ab miTāne kaun ḳhud-sar aa.egā
maiñ huuñ us bazm-e-hasīñ kā muddatoñ se muntazir
sab ke hāthoñ meñ jahāñ labrez sāġhar aa.egā
tum isī vaadī meñ Thahro intizār us kā karo
vo tumhāre paas ik paiġhām le kar aa.egā
kūcha kūcha se uThegī ġham-zadoñ kī ek lahr
qarya qarya se bahī-ḳhvāhoñ kā lashkar aa.egā
haath meñ mish.al liye har samt pahre par raho
raat kī chādar lapeTe hamla-āvar aa.egā
dekh ai sayyāh mere des kī ujḌī bahār
is se baḌh kar bhī koī ġhamgīn manzar aa.egā
merī surḳhī-e-tasavvur se haiñ kyuuñ nārāz aap
kyā harā peḌ aap tak bhī phuul le kar aa.egā
Dhal chalī 'daurāñ' javānī kī chamaktī dopahar
ab bhalā pahlū meñ mere kaun dilbar aa.egā
Top Urdushayar.com