Owais Ahmad Dauran

tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham

Owais Ahmad Dauran

1938
tum aa ga.e ho jab se khaTakne lagī hai shaam
sāġhar kī tarah roz chhalakne lagī hai shaam
shāyad kisī kī yaad kā mausam phir aa gayā
pahlū meñ dil kī tarah dhaḌakne lagī hai shaam
kuchh tū hī apne ḳhūn-e-ramīda kī le ḳhabar
palkoñ pe qatra qatra Tapakne lagī hai shaam
sahrā-e-pur-sukūt meñ kuchh āhuoñ ke saath
phir kis kī aarzū meñ bhaTakne lagī hai shaam
kyā jaane aaj kyuuñ kisī mazdūr kī tarah
sūraj ġhurūb hote hī thakne lagī hai shaam
kuchh aur aa.ina meñ sañvarne lage haiñ vo
jis din se un pe jaan chhiḌakne lagī hai shaam
'daurāñ' sunā hai sūrat-e-gesū-e-ambarīñ
imsāl phir chaman meñ mahakne lagī hai shaam
Top Urdushayar.com