Owais Ahmad Dauran

KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge

Owais Ahmad Dauran

1938
ḳhazāne bhī mileñ is ke evaz to ham na becheñge
hamārā ġham hai mazlūmoñ kā ġham ye ġham na becheñge
kuhistānoñ se patthar kaaT kar lā.eñge ham lekin
kisī zālim ke hāthoñ zaḳhm kā marham na becheñge
balā se dhuul phāñkeñ yā purāne chīthḌe pahneñ
magar yaaro matā-e-ilm-o-dānish ham na becheñge
kisī darbār meñ jā kar adab aur fan kī sūrat meñ
tumhārī ambarīñ zulfoñ ke pech-o-ḳham na becheñge
hamārā inqalāb aa.egā jab to kaam aa.egā
abhī apnī tamannā kā ujālā ham na becheñge
gulistāñ bech kar khānā havas-kāroñ kā sheva hai
chaman vaalo papīhoñ kā tarannum ham na becheñge
bharī mahfil meñ 'daurāñ' aaj ham phir ahd karte haiñ
jo hai insāniyat kī aas vo parcham na becheñge
Top Urdushayar.com