agar zabāñ se na ashk-e-ravāñ se guzregā
to phir ġhubār-e-tabī.at kahāñ se guzregā
hamāre naqsh-e-qadam raah meñ banā.e rakho
abhī zamāna isī kahkashāñ se guzregā
abhī to bijliyāñ TūTeñgī ḳhirman-e-dil par
abhī to qāfila shahr-e-butāñ se guzregā
nasīb hoñgī use sarfarāziyāñ kyā kyā
jo sar jhukā ke tire āstāñ se guzregā
usī se rāste pūchheñge ḳhairiyat merī
vo mere shahr meñ tanhā jahāñ se guzregā
maiñ sochtā huuñ rahegā jo fāsla qaa.em
zamāna un ke mire darmiyāñ se guzregā
nasīb hoñgī use kāmyābiyāñ 'nazmī'
ḳhushī ke saath jo har imtihāñ se guzregā