diloñ meñ ḳhaar laboñ par gila milegā mujhe
ḳhafā rahegā zamāna to kyā milegā mujhe
ye kyā ḳhabar thī mulāqāt un se hogī agar
nazar se tā-ba-nazar fāsla milegā mujhe
Tilism-e-tīrgi-e-shab kahīñ to TūTegā
koī charāġh kahīñ to jalā milegā mujhe
bahār-e-bāġh-e-tamannā koī to dekhegā
kabhī to dil meñ koī jhāñktā milegā mujhe
zamāna hogā tire saath rah-guzar meñ jahāñ
miTā miTā sā tirā naqsh-e-pā milegā mujhe
Dareñge log vafā ke ḳhayāl se 'nazmī'
mirī vafāoñ kā jis din sila milegā mujhe