Kishwar Naheed

zaKHm bhi taza tha aur us pe hawa bhi taza

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
zaḳhm bhī taaza thā aur us pe havā bhī taaza
dil ne rakkhā thā magar raḳhsh-e-duā bhī taaza
tar-ba-tar hai mire hāthoñ meñ vahī jāmunī rañg
tum ne pūchhā thā ki hotī hai ghaTā bhī taaza
ab talak hai vahī jaltā huā sahrā vahī maiñ
ab talak hai tapish-e-shauq-e-nidā bhī taaza
kis bahāne se tujhe bhuul rahūñ aur ḳhush huuñ
phir banā legā ye dil ek ḳhudā bhī taaza
kis bahāne se maiñ jāgūñ tujhe DhūñDūñ ab ke
ab to is sahn meñ Thahre na havā bhī taaza
aa.ina māñgtā rahtā hai vahī aks tirā
aañkh rakhtī hai tirā rañg-e-qabā bhī taaza
bas bahut hausla rakhne kī kahānī kah lī
raat ko phuul masaltī hai havā bhī taaza
Top Urdushayar.com