Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz

ye qissa-e-muKHtasar nahin hai

Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz

ye qissa-e-muḳhtasar nahīñ hai
tafsīl-talab magar nahīñ hai
tum apne diye jalā.e rakkho
imkān-e-sahar agar nahīñ hai
tū mere dil meñ jhāñktā hai
terī itnī nazar nahīñ hai
jo log dikhā.ī de rahe haiñ
kāñdhoñ pe kisī ke sar nahīñ hai
ab yuuñ hī dekhtā huuñ rasta
manzil pesh-e-nazar nahīñ hai
ye soch ke kī duā muaḳhḳhar
dīvār meñ koī dar nahīñ hai
be-ghar huuñ maiñ 'imtiyāz' jab se
andesha-e-bām-o-dar nahīñ hai
Top Urdushayar.com