lamha guzar gayā hai ki arsa guzar gayā
hai kaun vo jo vaqt kī sāzish ye kar gayā
ab umr to ye biit chalī sochte tumheñ
itnā huā hai haañ ki zarā maiñ sañvar gayā
simTā thā jab talak vo hathelī meñ Thiik thā
pahuñchā laboñ pe lams to nas-nas bikhar gayā
yuuñ to dahak rahā thā vo sūraj sā duur se
jo paas jā ke chhū liyā kaisā sihar gayā
dekhūñ tujhe qarīb se fursat se chain se
merā ye ḳhvāb mujh ko liye dar-ba-dar gayā
ik roz terā naam sar-e-rāh le liyā
chaltā huā ye shaġhl achānak Thahar gayā
misra.a sisak rahā thā akelā jo der se
yaad us kī aa ga.ī to ġhazal meñ utar gayā