dekh kar vahshat nigāhoñ kī zabāñ bechain hai
phir sulagne ko koī ik dāstāñ bechain hai
kaalī rātoñ ke salīqe din ko kyuuñ bhāne lage
soch kar gum-sum hai dhartī āsmāñ bechain hai
kāġhazoñ par ho ga.e saare ḳhulāse hī magar
kuchh to hai jo hāshiyoñ ke darmiyāñ bechain hai
jab se sāzish meñ samundar kī havā shāmil huī
kashtī hai chup-chāp sī aur bādbāñ bechain hai
bhed jab sargoshiyoñ kā khul ke aayā sāmne
shor vo uTThā hai apnā hukmarāñ bechain hai
hijr ke mausam kī kuchh mat pūchhiye uf dāstāñ
maiñ yahāñ betāb huuñ to vo vahāñ bechain hai