dhuup luTā kar ambar jab kañgāl huā
chāñd ugā kar phir se mālā-māl huā
sāñjh phisal kar DevḌhī par aa laTkī hai
āñgan se chaubāre tak sab laal huā
yaad vahīñ ThiThkī hai jahāñ tum chhoḌ ga.e
lamha din saptāh mahīna saal huā
dhuup aTak kar baiThā ga.ī hai chhajje par
osāre kā uThnā aaj muhāl huā
chun chun kar vo detā thā har dard mujhe
choT lagī jab ḳhud ko to behāl huā
kal tak jo detā thā utar prashnoñ kā
aaj vahī uljhā sā ek savāl huā
chhuTpan meñ jis kī sañgat thī chain mirā
umr baḌhī to vo jī kā janjāl huā