ujlī ujlī barf ke nīche patthar niilā niilā hai
terī yādoñ meñ ye sard december niilā niilā hai
din kī rañgat ḳhair guzar jaatī hai tere bin lekin
kattha.ī kattha.ī rātoñ kā har manzar niilā niilā hai
duur idhar khiḌkī par baiThī soch rahī ho mujh ko kyā
chāñd udhar chhat par aayā hai thak kar niilā niilā hai
terī niilī chunarī ne kyā haal kiyā bāġhīche kā
nārañgī phūloñ vaalā gul-mohar niilā niilā hai
bādal ke pīchhe kā sach ab kholā terī āñkhoñ ne
tū jo nihāre roz use to ambar niilā niilā hai
husn bhale ho raushan terā laal gulābī rañg liye
ishq kā tere partav lekin dil par niilā niilā hai
ik to tū bhī saath nahīñ hai uupar se ye bārish uf
ghar to ghar saarā kā saarā daftar niilā niilā hai