Gautam Rajrishi

hain jitni parten yahan aasman mein shamil

Gautam Rajrishi

1975
haiñ jitnī parteñ yahāñ āsmān meñ shāmil
sabhī huiiñ mirī had kī uḌaan meñ shāmil
baḌhā hai shahr meñ rutba zarā hamārā bhī
hue haiñ jaise ham un ke bayān meñ shāmil
uchhāl yuuñ hī nahīñ baḌh ga.ī hai lahroñ kī
nadī kā zor bhī hai kuchh Dhalān meñ shāmil
dhuāñ ġhubār parinde tapish ghuTan ḳhushbū
haiñ bojh kitne havā kī thakān meñ shāmil
thiiñ qist jitnī bhī ḳhvāboñ kī be-hisāb paḌī
kiyā hai niiñd ne sab ko lagān meñ shāmil
sunā hai naam se tere haiñ bikte afsāne
mujhe bhī kar le kabhī dāstān meñ shāmil
zarā sī dostī kī ham se qāfiyoñ ne kiyā
kiyā ġhazal ne hameñ ḳhāndān meñ shāmil
Top Urdushayar.com