Gautam Rajrishi

zindagi se umr-bhar tak chalne ka wada kiya

Gautam Rajrishi

1975
zindagī se umr-bhar tak chalne kā va.ada kiyā
ai mirī kambaḳht sāñso haa.e tum ne kyā kiyā
ibtidā-e-hosh se achchhā-bhalā patthar thā maiñ
ik nazar bas dekh kar tū ne mujhe dariyā kiyā
ek bas ḳhāmosh se lamhe kī ḳhvāhish hī to thī
aur usī ḳhvāhish ne lekin shor phir kitnā kiyā
lutf ab dene lagī hai ye udāsī bhī mujhe
shukriya terā ki tū ne jo kiyā achchhā kiyā
sochtā huuñ kaun se ilzām aur ab rah ga.e
haañ tujhe chāhā tujhe puujā tirā sajda kiyā
dī nahīñ tasvīr apnī tū ne dīvāne ko jab
yuuñ kiyā vallāh us ne ḳhud ko hī tujh sā kiyā
kab talak āḳhir ye sahtī rahtī ḳhvāboñ kī tapish
tañg aa kar niiñd ne palkoñ se lo tauba kiyā
Top Urdushayar.com