havā jab kisī kī kahānī kahe hai
na.e mausamoñ kī zabānī kahe hai
fasāna hai jismoñ kā be-shak zamīnī
magar ruuh to āsmānī kahe hai
tujhe chal zarā sā maiñ mīThā banā duuñ
samundar se dariyā kā paanī kahe hai
Dasā rat-jagoñ ne hai ḳhvāboñ ko phir se
sulagtī huī rāt-rānī kahe hai
laTeñ chand chāñdī kī baḳhshīñ tujhe jā
vidā.a letī mujh se javānī kahe hai
hai chaḌhne lagī phir se Dhaltī huī umr
tirī shirt ye za.afrānī kahe hai
na.ī baat ho ab na.e giit chheḌo
guzartī ghaḌī har purānī kahe hai