bas ga.ī hai rag rag meñ bām-o-dar kī ḳhāmoshī
chīrtī sī jaatī hai mujh ko ghar kī ḳhāmoshī
sub.h ke ubharne se shaam ke utarne tak
kitnī jān-levā hai dopahar kī ḳhāmoshī
chal rahī thī jab mere ghar ke jalne kī taftīsh
dekhne ke qābil thī shahr bhar kī ḳhāmoshī
kaaT lī haiñ tum ne to Tahniyāñ sabhī lekin
sun sako jo kahtī hai chup shajar kī ḳhāmoshī
toḌ bhī do chuppī ko rūThne ko taj Daalo
ho ga.ī hai parbat sī baat bhar kī ḳhāmoshī
paḌ ga.ī hai aadat ab saath tere chalne kī
bin tire kaTe kaise ye safar kī ḳhāmoshī