is baat ko vaise to chhupāyā na gayā hai
sab ko ye magar raaz batāyā na gayā hai
parde kī kahānī hai ye parde kī zabānī
bas is liye parde ko uThāyā na gayā hai
haiñ bhed ka.ī ab bhī chhupe qaid rapaT meñ
kuchh naam the shāmil so dikhāyā na gayā hai
ambar kī ye sāzish hai ajab chāñd ke badle
duuje kisī sūraj ko ugāyā na gayā hai
harfoñ kī zabānī ho bayāñ kaise vo qissa
likkhā na gayā hai jo sunāyā na gayā hai
kuchh ahl-e-zabāñ aa.e to haiñ dene gavāhī
āñkhoñ se magar ḳhauf kā saayā na gayā hai
ye raat hai nārāz jo dekhā ki havā se
do ek charāġhoñ ko bujhāyā na gayā hai