zindagī kī sharāb paanī hai
aur vo bhī ḳharāb paanī hai
jaane vaalī sadī sadā bar-lab
aane vaalā azaab paanī hai
nafratoñ kā badal mohabbat hai
aag kā ik javāb paanī hai
harf-e-bātin bhī harf-e-zāhir bhī
ek aisī kitāb paanī hai
ye samundar samajh nahīñ saktā
ek pyāse kā ḳhvāb paanī hai
ek qatra nahīñ hai āñkhoñ meñ
har taraf be-hisāb paanī hai