Aish Dehlvi

tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
tū hī insāf se kah jis kā ḳhafā yaar rahe
apne jiine se na kis tarah vo be-zār rahe
zaḳhm-e-dil chhīle kabhī aur kabhī zaḳhm-e-jigar
nāḳhun-e-dast-e-junūñ kab mire be-kār rahe
in jafāoñ kā maza tum ko chakhā deveñge
haañ agar zinda ham ai charḳh-e-jafākār rahe
mai-kade meñ hai baḌī ye hī muġhāñ kī piirī
ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyār rahe
jalte bhunte rahe ham bazm-e-butāñ meñ lekin
sham.a saañ us pe bhī sar dene ko tayyār rahe
yuuñ to kyā ḳhvāb meñ bhī yaar kā milnā mālūm
apne gar aah yahī tāla-e-bedār rahe
ek jā siine meñ un donoñ kā rahnā hai muhāl
yā ye dil hī rahe yā āh-e-sharar-bār rahe
us se dil ḳhaak ho ummīd-e-husūl-e-matlab
jis se ik bose pe sau tarah kī takrār rahe
le ke paikāñ se tire tiir batā to qātil
ḳhuun meñ Duube nahīñ kab tā lab-e-sofār rahe
jins-e-dil ātish-e-ulfat meñ jale jo chāhe
par kisī tarah tirī garmi-e-bāzār rahe
bāzi-e-ishq meñ chipke raho kyā ḳhaak kaheñ
ek dil rakhte the paas apne so baar rahe
aisā dam naak meñ aayā hai ki ham raazī haiñ
'aish' gar siine meñ is dil ke evaz ḳhaar rahe
Top Urdushayar.com