Aish Dehlvi

main bura hi sahi bhala na sahi

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
maiñ burā hī sahī bhalā na sahī
par tirī kaun sī jafā na sahī
dard-e-dil ham to un se kah guzre
gar unhoñ ne nahīñ sunā na sahī
shab-e-ġham meñ balā se shaġhl to hai
nāla-e-dil mirā rasā na sahī
dil bhī apnā nahīñ rahā na rahe
ye bhī ai charḳh-e-fitna-zā na sahī
dekh to leñge vo agar aa.e
tāqat-e-arz-e-mudda.ā na sahī
kuchh to āshiq se chheḌ-chhāḌ rahī
kaj-adā.ī sahī adā na sahī
kyuuñ burā mānte ho shikva mirā
chalo bejā sahī ba-jā na sahī
uqda-e-dil hamārā yā qismat
na khulā tujh se ai sabā na sahī
vā.izo banda-e-ḳhudā to hai 'aish'
ham ne maanā vo pārsā na sahī
Top Urdushayar.com