jo hotā aah tirī āh-e-be-asar meñ asar
to kuchh to hotā dil-e-shoḳh-e-fitnagar meñ asar
bas ik nigāh meñ māshūq chhīn leñ haiñ dil
ḳhudā ne un kī diyā hai ajab nazar meñ asar
na chhoḌī ġham ne mire ik jigar meñ ḳhuun kī buuñd
kahāñ se ashk kā ho kahiye chashm-e-tar meñ asar
ho us ke saath ye be-iltifāti-e-gul kyuuñ
jo andalīb ke ho nāla-e-sahar meñ asar
kisī kā qaul hai sach sañg ko kare hai mom
rakkhā hai ḳhaas ḳhudā ne ye sīm-o-zar meñ asar
jo aah ne falak-e-pīr ko hilā Daalā
to aap hī kahiye ki haigā ye kis asar meñ asar
jo dekh le to jahannam kī phere bañdh jaa.e
hai merī aah ke vo ek ik sharar meñ asar
bigāḌeñ charḳh se ham 'aish' kis bharose par
na aah meñ hai na soz-e-dil-o-jigar meñ asar