jur.at ai dil mai o miinā hai vo ḳhud-kām bhī hai
bazm aġhyār se ḳhālī bhī hai aur shaam bhī hai
zulf ke nīche ḳhat-e-sabz to dekhā hī na thā
ai lo ek aur nayā daam tah-e-dām bhī hai
chārāgar jaane de taklīf-e-mudāvā hai abas
maraz-e-ishq se hotā kahīñ ārām bhī hai
ho gayā aaj shab-e-hijr meñ ye qaul ġhalat
thā jo mash.hūr ki āġhāz ko anjām bhī hai
kām-e-jānāñ merā lab-e-yār ke bose se sivā
ḳhūgar-e-chāshni-e-lazzat-e-dushnām bhī hai
shaiḳh jī aap hī insāf se farmā.eñ bhalā
aur aalam meñ koī aisā bhī badnām bhī hai
zulf o ruḳh dair o haram shaam o sahar 'aish' in meñ
zulmat-e-kufr bhī hai jalva-e-islām bhī hai