Aish Dehlvi

kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan mein hum

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
kuchh kam nahīñ haiñ sham.a se dil kī lagan meñ ham
fānūs meñ vo jaltī hai yaañ pairahan meñ ham
haiñ tufta-jāñ mufāraqat-e-gul-badan meñ ham
aisā na ho ki aag lagā deñ chaman meñ ham
gum hoñge bū-e-zulf-e-shikan-dar-shikan meñ ham
qabza kareñge chiin ko le kar ḳhutan meñ ham
gar ye hī chheḌ dast-e-junūñ kī rahī to bas
mar kar bhī siina chaak kareñge kafan meñ ham
mahv-e-ḳhayāl-e-zulf-e-butāñ umr bhar rahe
mash.hūr kyuuñ na hoñ kaho dīvāna-pan meñ ham
hoñge aziiz ḳhalq kī nazroñ meñ dekhnā
gir kar bhī apne yaar ke chāh-e-zaqan meñ ham
chhakke hī chhūT jā.eñge ġhairoñ ke dekhnā
aa nikle haañ kabhī jo tirī anjuman meñ ham
ai andalīb dāva-e-behūda par kahīñ
ek aadh gul kā muñh na masal deñ chaman meñ ham
āshiq hue haiñ parda-nashīñ par bas is liye
rakhte haiñ soz-e-ishq nihāñ jaan o tan meñ ham
zālim kī sach masal hai ki rassī darāz hai
misdāq us kā paate haiñ charḳh-e-kuhan meñ ham
anqā kā 'aish' naam to hai go nishāñ nahīñ
yaañ vo bhī kho chuke haiñ talāsh-e-dahan meñ ham
Top Urdushayar.com