Aish Dehlvi

aashiqon ko ai falak dewega tu aazar kya

Aish Dehlvi

Delhi, India

1779-1879
āshiqoñ ko ai falak devegā tū āzār kyā
dushman-e-jāñ un kā thoḌā hai dil-e-bīmār kyā
rashk aave kyuuñ na mujh ko dekhnā us kī taraf
TakTakī bāñdhe hue hai rauzan-e-dīvār kyā
aah ne to ḳhema-e-gardūñ ko phūñkā dekheñ ab
rañg laate haiñ hamāre dīda-e-ḳhūñ-bār kyā
murġh-e-dil ke vāste ai ham-safīro kam hai kyuuñ
kuchh qazā ke tiir se tīr-e-nigāh-e-yār kyā
chal ke mai-ḳhāne hī meñ ab dil ko bahlāo zarā
'aish' yaañ baiThe hue karte ho tum begār kyā
Top Urdushayar.com